Pages

Hamaisha Dair Kar Daita Hoon Main Poetry By Munir Niazi

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Zaroori baat kehni ho , koi wada nibhana ho
Usay awaaz daina ho , usay wapis bolana ho
Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Madad karni ho uski,yaar ki dharas bandhana ho
Buhat daireena raston par kisi se milnay jana ho
Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Badaltay mosamon ki sair main Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho
Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Kisi ko mot se pehlay kisi gham se bachana ho
Haqeeqat or thi kuch us ko ja k ye batana ho
Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main

Munir Niazi

No comments:

Post a Comment