Elahi teri makhlooq ka ajab ek tamasha dekha,
Chhalaktay jaam dekhay samandro'n ko piyasa dekha,
Yeh kya maajra hay apni to samajh mein nahi aaya,
Aadmi apni hi justaju mein ulajhta dekha,
Jin k haath thay khali woh masroof-e-Zikar dekhay,
Haatho'n mein liye tasbih-e-anmol waaiz ko bhatakta dekha,
'Alhamd-o-Lillah' ka matlab to samajh mein aaya,
'Siraat-e-mustaqeem' k matlab peh logo'n ko jhagarta dekha,
Eemaan bechtay huay ADAM k betay dekhay,
HAVAA ki beti ko sar-e-bazaar bikta dekha,
Kesay dunya k maqar-o-faraib se samjhota kar loun,
Keh En aankho'n ne kitnay jaltay diyo'n ko bujhta dekha,
No comments:
Post a Comment